hoñge  vo  jalva-gar  kabhī  na  kabhī
ā.eñge  baam  par  kabhī  na  kabhī
ye  yaqīñ  hai  kī  merī  ulfat  kā
hogā  un  par  asar  kabhī  na  kabhī
khīñch  lā.egā  merā  jazba-e-dil
tujh  ko  ai  be-ḳhabar  kabhī  na  kabhī
laakh  ham  se  chhupā  to  phir  kyā  hai
DhūñD  legā  nazar  kabhī  na  kabhī
sher-goī  ko  aap  kī  'tābāñ'
hogā  hāsil  samar  kabhī  na  kabhī