har  ek  shaḳhs  mirā  shahr  meñ  shanāsā  thā
magar  jo  ġhaur  se  dekhā  to  maiñ  akelā  thā
vo  ḳhvāb  aish-e-tarab  kā  jo  ham  ne  dekhā  thā
haqīqatoñ  se  pare  thā  hasīn  dhokā  thā
ḳhudā  hameñ  bhī  dikhā  de  vo  daur  kaisā  thā
ḳhulūs-o-mehr  kā  har  shaḳhs  jis  meñ  dariyā  thā
sitam  bhī  mujh  pe  vo  kartā  rahā  karam  kī  tarah
vo  mehrbāñ  to  na  thā  mehrbān  jaisā  thā
guzishta  raat  bhī  ham  ne  yūñhī  guzārī  thī
zamīn  ko  farsh  kiyā  āsmān  oḌhā  thā
usī  ko  matlabī  'tābāñ'  kahā  zamāne  ne
duā  salām  jo  chhoTe  baḌe  se  rakhtā  thā