vafā  kā  mirī  kyā  silā  dījiyegā
ġham-e-dil  kī  lazzat  baḌhā  dījiyegā
mujhe  dekh  kar  muskurā  dījiyegā
yūñhī  merī  hastī  miTā  dījiyegā
sila  dil  lagāne  kā  kyā  dījiyegā
sitam  dījiyegā  sazā  dījiyegā
sukūñ  kī  talab  mujh  ko  hargiz  nahīñ  hai
bas  ik  dard  kā  silsila  dījiyegā
ḳhushī  bāñTne  ke  nahīñ  aap  qaa.il
to  ġham  hī  mujhe  kuchh  sivā  dījiyegā
mujhe  kyā  ḳhabar  thī  ki  ḳhud  lauh-e-dil  par
mirā  naam  likh  kar  miTā  dījiyegā
sukūn  qalb  ko  jis  se  mil  jaa.e  'tābāñ'
ġhazal  koī  aisī  sunā  dījiyegā