Mohammad Yusuf Rasikh

dil-e-shaida ki haqiqat mere maula kya hai

Mohammad Yusuf Rasikh

dil-e-shaidā kī haqīqat mire maulā kyā hai
jaan hāzir hai mirī aap se achchhā kyā hai
ahmad aur ahmad-e-be-mīm kā pardā kyā hai
aql-e-avval ko bhī hairat hai muammā kyā hai
aap ke ġham ne tan-e-zār meñ chhoḌā kyā hai
malak-ul-maut kā ye mujh se taqāzā kyā hai
aish-e-imroz pe ḳhush haiñ ġham-e-fardā kyā hai
maut aa jaa.e to mar jā.eñge jhagḌā kyā hai
ham to mad.hosh paḌe rahte the mai-ḳhāne meñ
kyā ḳhabar kātib-e-āmāl ne likkhā kyā hai
aaj tak shahr-e-ḳhamoshāñ kā na kuchh haal khulā
log kyā dekhne jaate haiñ tamāshā kyā hai
arsa-e-hashr meñ hai aaj qayāmat kī giraft
ab batā.e to koī nāzish-e-taqvā kyā hai
sar to ham bhī na jhukā.eñge subuk-sar ho kar
charḳh dushman hai to dushman sahī hotā kyā hai
tum se haT kar kahīñ paḌtī hī nahīñ merī nazar
tum tamannā ho mirī aur tamannā kyā hai
dū-badū kyuuñ na kahūñ tum se jo kahnā hai mujhe
dil meñ ghuT ghuT ke jo rah jaa.e vo shikvā kyā hai
gul ke dāman pe kahīñ ḳhuun kā dhabba na lage
tarz-e-fariyād ye ai bulbul-e-shaidā kyā hai
mushkileñ saiñkaḌoñ har gaam pe pesh aatī haiñ
DhūñDne vāloñ ne tujh ko abhī paayā kyā hai
kyā batā.ūñ dil-e-ranjūr kī hālat tum ko
vo to har roz kā bīmār hai achchhā kyā hai
kalima paḌhtā huā qabr meñ utrā huuñ maiñ
mere maz.hab ko nakīrain ne samjhā kyā hai
ik na ik fikr lagī rahtī hai har dam mujh ko
fikr-e-duniyā meñ paḌā huuñ ġham-e-uqbā kyā hai
bāda-noshoñ ke duā karte hī bādal umDe
aql hairān hai zāhid kī ye hotā kyā hai
shab-e-me.arāj kī kyā shaan hai allāh allāh
aaj dekhe to koī arsh-e-muallā kyā hai
ab ke bhī rauza-e-aqdas pe rasā.ī na huī
aur phir shūmī-e-taqdīr kā ronā kyā hai
ai falak ham tujhe zālim nahīñ kahte lekin
ġhaur se sun ki sadā-e-lab-e-duniyā kyā hai
ġham-e-ulfat kī tavāzo.a kī jigar hai maujūd
aur maqdūr merā is se ziyāda kyā hai
murde jī uThte haiñ jab naam tirā sunte haiñ
ham se pūchhe koī ejāz-e-masīhā kyā hai
maslahat ye hai ki iz.hār-e-mohabbat na karūñ
maut hai mere liye arz-e-tamannā kyā hai
dil-e-raushan ko samajh ka.aba-nashīñ kī manzil
dair kahte haiñ kise aur kalīsā kyā hai
kabhī botal ko uThātā hai kabhī sāġhar ko
nahīñ mālūm ki 'rāsiḳh' kā irāda kyā hai
Top Urdushayar.com