Mohammad Yusuf Rasikh

tare khile hue hain shab-e-mahtab hai

Mohammad Yusuf Rasikh

taare khile hue haiñ shab-e-māhtāb hai

ma.ashūq ham-piyāla hai bazm-e-sharāb hai

ye kyā sitam hai vasl meñ muñh par naqāb hai

qurbān is hayā ke ye kaisā hijāb hai

baiThe ho mere sāmne pahlū meñ ġhair ke

phir mujh se pūchhte ho tumheñ kyuuñ itaab hai

ye faiz hai mire araq-e-infi.āl

nār-e-jahīm mere liye aab aab hai

tasvīr-e-ġhair bhej ke us ne ba-laff-e-ḳhat

unvāñ ye likh diyā tire ḳhat javāb hai

kyuuñ chheḌte haiñ mujh ko nakīrain qabr meñ

jo so rahā ho us ko jagānā azaab hai

is ke bhī mustahiq nahīñ aġhyār nā-ba-kār

gaalī bhī aap deñ to vo durr-e-ḳhushāb hai

mujh ko nahīñ hai sham.a hājat sar-e-mazār

merā har ek dāġh-e-jigar āftāb hai

tum to faroġh-e-husn meñ bar-ḳhud ġhalat rahe

maiñ ne na kah diyā thā ye dhoka hai ḳhvāb hai

ka.aba jo ik butoñ purānā maqām thā

zāhid vahāñ ke shauq meñ pādar-rikāb hai

bhūle hue ho ahd-e-javānī pe kis liye

is se to pā.edār ziyāda habāb hai

rusvā mire kiye se na hogā vo hashr meñ

us sharīk ye dil-e-ḳhāna-ḳharāb hai

phande meñ phañs gayā dil-e-nādāñ hazār haif

kis ko ḳhabar thī zulf tumhārī tanāb hai

kyuuñ tum ne mere ḳhat ke parḳhache uḌā diye

nārāz ho to mujh se ho mujh par itaab hai

ham ko nahīñ hai jis lab-e-nāzuk se faiz kuchh

ho vo jo ḳhush-numā.ī meñ barg-e-gulāb hai

mutrib ne raag chheḌā hai aa kar shab-e-firāq

kyā dil-ḳharāsh naġhma-e-chañg-o-rabāb hai

'rāsiḳh' milā hai apnī riyāzat phal mujhe

naḳhl-e-suḳhan jo aaj mirā bāryāb hai

Top Urdushayar.com