Divya Jain

le ke parcham mere daman ka khaDe hain sare

Divya Jain

Bina, Madhya Pradesh, India

1969

le ke parcham mire dāman khaḌe haiñ saare

aa ke phir jism pe patthar ye paḌe haiñ saare

dafn karne hai insāñ ko zarūrat ab kyā

sharm se ḳhud meñ ḳhud se to gaḌe haiñ saare

ziist raah ko ab apnī banānā misāl

haiñ pashemān jo manzil pe khaḌe haiñ saare

kitnī parvāz bharo apnā na āġhāz tajo

par bikhar ke to zamīñ par paḌe haiñ saare

badlā hai saarā jahāñ badlī na qaum-e-āshiq

in ko samjhā.iye kyā chikne ghaḌe haiñ saare

umr to saarī gañvā.ī ho na paa.e insāñ

par ḳhudā banñe ko phir bhī to aḌe haiñ saare

ḳhud ko kar ḳhatm karte haiñ vo āġhāz nayā

patte vo zard jo shāḳhoñ se jhaḌe haiñ saare

Top Urdushayar.com