aisī  bhī  kyā  jaldī  pyāre  jaane  mileñ  phir  yā  na  mileñ  ham
kaun  kahegā  phir  ye  fasāna  baiTh  bhī  jaao  sun  lo  koī  dam
vasl  kī  shīrīnī  meñ  pinhāñ  hijr  kī  talḳhī  bhī  hai  kam  kam
tum  se  milne  kī  bhī  ḳhushī  hai  tum  se  judā  hone  kā  bhī  ġham
husn-o-ishq  judā  hote  haiñ  jaane  kyā  tūfān  uThegā
husn  kī  āñkheñ  bhī  haiñ  pur-nam  ishq  kī  āñkheñ  bhī  haiñ  pur-nam
merī  vafā  to  nādānī  thī  tum  ne  magar  ye  kyā  Thānī  thī
kaash  na  karte  mujh  se  mohabbat  kaash  na  hotā  dil  kā  ye  aalam
parvāne  kī  ḳhaak  pareshāñ  sham.a  kī  lau  bhī  larzāñ  larzāñ
mahfil  kī  mahfil  hai  vīrāñ  kaun  kare  ab  kis  kā  mātam
kuchh  bhī  ho  par  in  āñkhoñ  ne  akasr  ye  aalam  bhī  dekhā
ishq  kī  duniyā  nāz-e-sarāpā  husn  kī  duniyā  ijz-e-mujassam
shahd-shikan  hoñToñ  kī  larzish  ishrat  baaqī  kā  gahvāra
dā.era-e-imkān-e-tamannā  narm  lachaktī  bāñhoñ  ke  ḳham
apne  apne  dil  ke  hāthoñ  donoñ  hī  barbād  hue  haiñ
maiñ  huuñ  aur  vafā  kā  ronā  vo  haiñ  aur  jafā  kā  mātam
nākāmī  sī  nākāmī  hai  mahrūmī  sī  mahrūmī  hai
dil  kā  manānā  sa.ī-e-musalsal  un  ko  bhulānā  koshish-e-paiham
ahd-e-vafā  hai  aur  bhī  mohkam  terī  judā.ī  ke  maiñ  qurbāñ
terī  judā.ī  ke  maiñ  qurbāñ  ahd-e-vafā  hai  aur  bhī  mohkam