be-chārgī-e-hasrat-e-dīdār  dekhnā
mushkil  na  dekhnā  hai  to  dushvār  dekhnā
lamhāt-e-intizār  kī  raftār  dekhnā
vo  baar  baar  sāya-e-dīvār  dekhnā
yuuñ  dekhnā  ki  TuuTe  na  rishta  nigāh  kā
ik  baar  dekhne  meñ  vo  sau  baar  dekhnā
yā  sub.h  hī  se  shaam  kā  pur-kaif  intizār
yā  shaam  hī  se  sub.h  ke  āsār  dekhnā
kyā  dil-fareb  hai  tire  ḳhvāb-e-girāñ  kā  husn
tujh  se  nihāñ  tire  lab-o-ruḳhsār  dekhnā
dard-e-firāq  kī  sahar-e-avvalīñ  'hafīz'
uThte  hī  jānib-e-dar-o-dīvār  dekhnā