Hafeez Hoshiarpuri

ab koi aarzu nahin zauq-e-payam ke siwa

Hafeez Hoshiarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1912-1973

ab koī aarzū nahīñ zauq-e-payām ke sivā

ab koī justujū nahīñ shauq-e-salām ke sivā

koī sharīk-e-ġham nahīñ ab tirī yaad ke baġhair

koī anīs-e-dil nahīñ ab tire naam ke sivā

terī nigāh-e-mast se mujh pe ye raaz khul gayā

aur bhī gardisheñ haiñ kuchh gardish-e-jām ke sivā

ḳhvāhish-e-ārzū sahī hāsil-e-zindagī magar

hāsil-e-ārzū hai kyā soz-e-mudām ke sivā

aah koī na kar sakā chāra-e-talḳhī-e-firāq

nāla-e-sub.h ke baġhair giriya-e-shām ke sivā

rañg-e-bahār par na bhuul bu-e-chaman se dar-guzar

ye bhī haiñ ḳhush-numā fareb dāna-o-dām ke sivā

mar ke hayāt-e-jāvidāñ ishq ko mil ga.ī 'hafīz'

ke havas ko kyā milā marg-e-davām ke sivā

Top Urdushayar.com