na  pūchh  kyuuñ  mirī  āñkhoñ  meñ  aa  ga.e  aañsū
jo  tere  dil  meñ  hai  us  baat  par  nahīñ  aa.e
vafā-e-ahd  hai  ye  pā-shikastagī  to  nahīñ
Thahar  gayā  ki  mire  ham-safar  nahīñ  aa.e
na  chheḌ  un  ko  ḳhudā  ke  liye  ki  ahl-e-vafā
bhaTak  ga.e  haiñ  to  phir  raah  par  nahīñ  aa.e
abhī  abhī  vo  ga.e  haiñ  magar  ye  aalam  hai
bahut  dinoñ  se  vo  jaise  nazar  nahīñ  aa.e
kahīñ  ye  tark-e-mohabbat  kī  ibtidā  to  nahīñ
vo  mujh  ko  yaad  kabhī  is  qadar  nahīñ  aa.e
ajiib  manzil-e-dilkash  adam  kī  manzil  hai
musāfirān-e-adam  lauT  kar  nahīñ  aa.e
hafīz  kab  unheñ  dekhā  nahīñ  ba-rañg-e-digar
'hafīz'  kab  vo  ba-rañg-e-digar  nahīñ  aa.e