ab  koī  aarzū  nahīñ  zauq-e-payām  ke  sivā
ab  koī  justujū  nahīñ  shauq-e-salām  ke  sivā
koī  sharīk-e-ġham  nahīñ  ab  terī  yaad  ke  sivā
koī  anīs-e-dil  nahīñ  ab  tere  naam  ke  sivā
kāhish-e-ārzū  sahī  hāsil-e-zindagī  magar
hāsil-e-ārzū  hai  kyā  soz-e-mudām  ke  sivā
aah  koī  na  kar  sakā  chāra-e-talḳhī-e-firāq
nāla-e-sub.h  ke  baġhair  giriya-e-shām  ke  sivā
terī  nigāh-e-mast  se  mujh  pe  ye  raaz  khul  gayā
aur  bhī  gardisheñ  haiñ  kuchh  gardish-e-jām  ke  sivā
rañg-e-bahār  par  na  phuul  bū-e-chaman  se  darguzar
ye  bhī  haiñ  ḳhushnumā  fareb-e-dāna-o-dām  ke  sivā
mar  ke  hayāt-e-jāvidāñ  ishq  ko  mil  ga.ī  'hafīz'
jī  ke  hosh  ko  kyā  milā  marg-e-davām  ke  sivā