phir  se  ārā.ish-e-hastī  ke  jo  sāmāñ  hoñge
tere  jalvoñ  hī  se  ābād  shabistāñ  hoñge
ishq  kī  manzil-e-avval  pe  Thaharne  vaalo
is  se  aage  bhī  ka.ī  dasht-o-bayābāñ  hoñge
tū  jahāñ  jā.egī  ġhārat-gar-e-hastī  ban  kar
ham  bhī  ab  saath  tire  gardish-e-daurāñ  hoñge
kis  qadar  saḳht  hai  ye  tark-o-talab  kī  manzil
ab  kabhī  un  se  mile  bhī  to  pashemāñ  hoñge
tere  jalvoñ  se  jo  mahrūm  rahe  haiñ  ab  tak
vahī  āḳhir  tire  jalvoñ  ke  nigahbāñ  hoñge
ab  to  majbūr  haiñ  par  hashr  kā  din  aane  de
tujh  se  insāf-talab  rū-e-gurezāñ  hoñge
jab  kabhī  ham  ne  kiyā  ishq  pashemān  hue
zindagī  hai  to  abhī  aur  pashemāñ  hoñge
koī  bhī  ġham  ho  ġham-e-dil  ki  ġham-e-dahr  'hafīz'
ham  ba-har-hāl  ba-har-rañg  ġhazal-ḳhvāñ  hoñge