har  qadam  par  ham  samajhte  the  ki  manzil  aa  ga.ī
har  qadam  par  ik  na.ī  darpesh  mushkil  aa  ga.ī
yā  ḳhalā  par  hukmarāñ  yā  ḳhaak  ke  andar  nihāñ
zindagī  DaT  kar  anāsir  ke  muqābil  aa  ga.ī
baḌh  rahā  hai  dam-ba-dam  sub.h-e-haqīqat  kā  yaqīñ
har  nafas  par  ye  gumāñ  hotā  hai  manzil  aa  ga.ī
TūTte  jaate  haiñ  rishte  joḌtā  jaatā  huuñ  maiñ
ek  mushkil  kam  huī  aur  ek  mushkil  aa  ga.ī
hāl-e-dil  hai  koī  ḳhvāb-āvar  fasāna  to  nahīñ
niiñd  abhī  se  tum  ko  ai  yārān-e-mahfil  aa  ga.ī