mohabbat  karne  vaale  kam  na  hoñge
tirī  mahfil  meñ  lekin  ham  na  hoñge
maiñ  aksar  sochtā  huuñ  phuul  kab  tak
sharīk-e-girya-e-shabnam  na  hoñge
zarā  der-āshnā  chashm-e-karam  hai
sitam  hī  ishq  meñ  paiham  na  hoñge
diloñ  kī  uljhaneñ  baḌhtī  raheñgī
agar  kuchh  mashvare  bāham  na  hoñge
zamāne  bhar  ke  ġham  yā  ik  tirā  ġham
ye  ġham  hogā  to  kitne  ġham  na  hoñge
kahūñ  bedard  kyuuñ  ahl-e-jahāñ  ko
vo  mere  haal  se  mahram  na  hoñge
hamāre  dil  meñ  sail-e-girya  hogā
agar  bā-dīda-e-pur-nam  na  hoñge
agar  tū  ittifāqan  mil  bhī  jaa.e
tirī  furqat  ke  sadme  kam  na  hoñge
'hafīz'  un  se  maiñ  jitnā  bad-gumāñ  huuñ
vo  mujh  se  us  qadar  barham  na  hoñge