raushnī  sī  kabhī  kabhī  dil  meñ
manzil-e-be-nishāñ  se  aatī  hai
lauT  kar  nuur  kī  kiran  jaise
safar-e-lā-makāñ  se  aatī  hai
nau-e-insāñ  hai  gosh-bar-āvāz
kyā  ḳhabar  kis  jahāñ  se  aatī  hai
apnī  fariyād  bāzgasht  na  ho
ik  sadā  āsmāñ  se  aatī  hai
taḳhta-e-dār  hai  ki  taḳhta-e-gul
bū-e-ḳhūñ  gulistāñ  se  aatī  hai
dil  se  aatī  hai  baat  lab  pe  'hafīz'
baat  dil  meñ  kahāñ  se  aatī  hai