tum  samajh  lete  gar  pareshānī
ham  ko  ho  jaatī  thoḌī  āsānī
kaisā  maarā  thā  us  ne  harfoñ  ko
lafz  bhāge  uThā  uThā  ma.anī
aap  kī  baat  ko  raqam  kar  ke
ham  ne  paanī  pe  likh  diyā  paanī
koī  pāgal  hai  aa  ke  pūchhegā
aap  se  aap  kī  pareshānī
Daal  do  kuchh  havāoñ  ke  sar  pe
itnī  achchhī  nahīñ  hai  uryānī
ham  ko  aanā  hai  beach  meñ  un  ke
baat  bilkul  bigaḌ  ga.ī  ya.anī
merī  duniyā  ko  lūTne  vaalī
aag  lag  jaa.e  tujh  ko  mar  jaanī
aur  kuchh  din  guzarne  de  mere
dhuul  chāTegī  terī  tābānī
DhūñDhtī  hai  nigāh  bhagdaḌ  meñ
koī  sūrat  ho  jānī-pahchānī
jis  ko  laanā  hai  le  ke  aa  jaanā
ham  khaḌe  haiñ  le  dushman-e-jānī