Syed Fazlul Mateen

aabaadiyon mein kho gaya sahraon ka junun

Syed Fazlul Mateen

ābādiyoñ meñ kho gayā sahrāoñ kā junūn
shahroñ kā jamghaToñ meñ gayā gaañv kā sukūn
hālāt ke asiir hue masḳh ho ga.e
chehre pe jin ke dauḌtā thā nāzukī kā ḳhuun
tahzīb-e-nau kī raushnī meñ jal-bujhe tamām
maazī kī yādgār mire ilm aur funūn
bechain zindagī ke taqāze ajiib haiñ
phir us jagah chaleñ jahāñ kho aa.e haiñ sukūn
ye tajraba bhī gardish-e-hālāt se huā
kaise saped hotā hai har āshnā kā ḳhuun
lo kaam hosh se ye nayā daur hai 'matīn'
vahshat na saath degī na kaam aa.egā junūn
Top Urdushayar.com