Syed Fazlul Mateen

aankhon ko chamak chehre ko ek aab to dije

Syed Fazlul Mateen

āñkhoñ ko chamak chehre ko ik aab to diije

jhūTā sahī aap koī ḳhvāb to diije

ham sañg-e-girāñ haiñ ḳhas-o-ḳhāshāk haiñ kyā haiñ

ma.alūm ho pahle koī sailāb to diije

ham jām-ba-kaf baiThe raheñ aur kahāñ tak

taqdīr meñ amrit nahīñ zahrāb to diije

ham ko bhī hai ye shauq ki Dūbeñ kabhī ubhreñ

ho gardish-e-ayyām girdāb to diije

mad.hosh na kar deñ jo zamāne ko to kahnā

hāthoñ meñ hamāre koī mizrāb to diije

marne havas hai hameñ dīvāne hue haiñ

jiine ke agar paas hoñ ādāb to diije

vīrānoñ ko gulshan banā.eñge 'matīn' ham

khilne zarā ik ġhuncha-e-shādāb to diije

Top Urdushayar.com