thā  sharīk-e-bazm-e-ġham  maiñ  ham-navāñ  koī  nahīñ
dard-e-dil  ko  harf  karne  kā  bayāñ  koī  nahīñ
thā  ḳhalāoñ  meñ  bhaTaknā  tanhā  hī  jis  kā  nasīb
thā  na  chanda  sañg  apne  kahkashāñ  koī  nahīñ
rañg  bhar  do  yuuñ  ki  phaile  bin  dhanak  jism-e-ufuq
ḳhvāboñ  kī  tasvīr  se  baḌh  ke  zabāñ  koī  nahīñ
kitne  dīvāroñ  meñ  kho.e  dard-o-ġham  ke  zalzale
aahoñ  se  jo  Dah  gayā  aisā  makāñ  koī  nahīñ
mil  ke  bas  vo  pal  do  pal  apne  hī  ghar  ko  lauTā  hai
aa.e  jo  basne  zamīñ  par  āsmāñ  koī  nahīñ
dekhtā  hai  har  kalī  ko  vo  bikhartā  bār-bār
gul  ugānā  chhoḌtā  par  bāġhbāñ  koī  nahīñ
ḳhaak  kar  degā  ġhubār-e-vaqt  terā  ye  vajūd
jo  ruke  tere  liye  vo  kārvāñ  koī  nahīñ