bajā  ki  har  koī  apnī  hī  ahmiyat  chāhe
magar  vo  shaḳhs  to  ham  se  musāhibat  chāhe
guzar  rahe  haiñ  ajab  jāñ-kanī  meñ  roz-o-shab
ki  ruuh  qarya-e-tan  se  muhājrat  chāhe
kamāñ  meñ  tiir  chaḌhā  ho  to  be-amāñ  taa.ir
salāmtī  ko  koī  kunj-e-āfiyat  chāhe
nikal  paḌe  haiñ  gharoñ  se  to  sochnā  kaisā
ab  aa.e  rah  meñ  azāboñ  kī  saltanat  chāhe
anā  ke  hāthoñ  huā  hai  'shafīq'  jo  bhī  huā
magar  ye  dil  ki  abhī  tak  mufāhamat  chāhe