raas  aayā  nahīñ  ham  ko  tirā  aate  rahnā
yuuñ  tirā  barsoñ  talak  va.ada  nibhāte  rahnā
tū  ne  ye  jaanā  na  ādāb-e-mohabbat  kyā  hai
har  mulāqāt  pe  milne  tirā  aate  rahnā
rā.egāñ  ho  gayā  vo  gaanā  tirā  raag  basant
mausam-e-ḳhār  meñ  phūloñ  ko  ugāte  rahnā
ik  sadā  terī  bhī  shāmil  thī  hujūm-e-tiflāñ
har  sahar  chhajje  pe  mujh  ko  bhī  bulāte  rahnā
jāntā  to  nahīñ  kāñTe  to  mire  dil  meñ  chubhe
phuul  terā  mirī  rāhoñ  meñ  bichhāte  rahnā
hai  ye  be-qufl  qafas  par  vo  parinda  na  uḌā
qissa-e-ishq  tirā  us  ko  sunāte  rahnā
tere  jaisā  bhī  hai  ik  shaḳhs  zamāne  bhar  meñ
kab  talak  majnūñ  aur  rāñjhoñ  ko  gināte  rahnā
raakh  jab  maiñ  ne  kuredī  to  kahe  chiñgārī
kaam  tum  jaisoñ  kā  hai  duniyā  jalāte  rahnā
rū-ba-rū  aa.ine  ke  roz  maiñ  aa.uuñ  kaise
kitnā  mushkil  hai  nazar  ḳhud  se  milāte  rahnā