sāhab-e-zar  na  sahī  sāhab-e-izzat  haiñ  abhī
aur  ik  sañg-e-malāmat  ki  salāmat  haiñ  abhī
yuuñ  to  be-qufl  haiñ  lab  aur  sadā.eñ  āzād
phir  bhī  alfāz  ki  mahrūm-e-samā.at  haiñ  abhī
pur  ta.assur  thī  bahut  un  kī  ḳhitābat  lekin
chand  bāteñ  haiñ  ki  marhūn-e-vazāhat  haiñ  abhī
sach  ke  ḳheme  meñ  raheñ  jhuuT  kī  bai.at  kar  leñ
kitne  hī  log  ki  pāband-e-rivāyat  haiñ  abhī