tiir  ḳhatm  haiñ  to  kyā  haath  meñ  kamāñ  rakhnā
is  muhīb  jañgal  meñ  hausla  javāñ  rakhnā
kyā  patā  havā.eñ  kab  mehrbān  ho  jaa.eñ
pāniyoñ  meñ  jab  utro  saath  bādbāñ  rakhnā
ranjisheñ  bhulā  denā  fāsle  miTā  denā
ik  mahīn  sā  parda  phir  bhī  darmiyāñ  rakhnā
ham  bhī  hoñT  sī  leñge  jī  sake  to  jī  leñge
kyā  koī  zarūrī  hai  boltī  zabāñ  rakhnā
ye  ghaḌī  to  aa.ī  thī  yuuñ  hī  sargirānī  thī
ab  fuzūl  lagtā  hai  koī  sā.ebāñ  rakhnā
lahr  lahr  bikhrī  hai  qahr  qahr  dariyā  meñ
be-javāz  lagtā  hai  sa.ī-e-rā.egāñ  rakhnā
dūsroñ  kī  zid  huuñ  maiñ  kitnā  munfarid  huuñ  maiñ
ye  bhī  kyā  ki  sab  jaisā  sar  pe  āsmāñ  rakhnā