kisī  ke  haath  par  tahrīr  honā
mirā  bhī  sāhab-e-taqdīr  honā
faqat  ik  ḳhvāb  ho  kar  rah  gayā  hai
adhūre  ḳhvāb  kī  ta.abīr  honā
nikalnā  ruuh  kī  gahrā.ī  se  aur
duā  kā  hāmil-e-tāsīr  honā
ye  honā  to  hai  lekin  kab  ye  hogā
qabā-e-zar  kā  līr-o-līr  honā
hisār-e-zabt  se  bāhar  thā  vo  ashk
jise  thā  dard  kī  tafsīr  honā
'shafīq'  āḳhir  hai  is  pāra-sifat  ko
kisī  ke  sāmne  tasvīr  honā