Mah Laqa Chanda

na gul se hai gharaz tere na hai gulzar se matlab

Mah Laqa Chanda

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1768-1824

na gul se hai ġharaz tere na hai gulzār se matlab

rakhā chashm-e-nazar shabnam meñ apne yaar se matlab

ye dil dām-e-nigah meñ tark ke bas aTkā hai

bar aave kis tarah allāh ab ḳhūñ-ḳhvār se matlab

ba-juz haq ke nahīñ hai ġhair se hargiz tavaqqo kuchh

magar duniyā ke logoñ meñ mujhe hai pyaar se matlab

na samjhā ham ko ne yaar aisī jāñ-fishānī par

bhalā pāveñge ai nādāñ kisī hushyār se matlab

na 'chandā' ko tama.a jannat ne ḳhauf-e-jahannam hai

rahe hai do-jahāñ meñ haidar-e-karrār se matlab

Top Urdushayar.com