jahāñ  tak  ishq  kī  taufīq  hai  rañgīñ  banāte  haiñ
vo  sunte  haiñ  ham  un  ko  sar-guzasht-e-dil  sunāte  haiñ
udhar  haq-ul-yaqīñ  hai  ab  vo  aate  ab  vo  aate  haiñ
udhar  anjum  mirī  is  zehniyat  par  muskurāte  haiñ
shab-e-ġham  aur  mahjūrī  ye  aalam  aur  majbūrī
Tapak  paḌte  haiñ  aañsū  jab  vo  ham  ko  yaad  aate  haiñ
vahīñ  se  dars-e-husn-o-ishq  kā  āġhāz  hotā  hai
jahāñ  se  vāqi.āt-e-zindagī  ham  bhuul  jaate  haiñ
hameñ  kuchh  ishq  ke  mafhūm  par  hai  tabsira  karnā
ik  āh-e-sard  ko  unvān-e-sharah-e-ġham  banāte  haiñ
bahā  kar  ashk-e-ḳhūñ  khīñchī  thiiñ  jo  ā.īna-e-dil  meñ
ham  un  mauhūm  tasvīroñ  ko  ab  rañgīñ  banāte  haiñ
shabāb-e-zindagī  jalvoñ  kā  ik  ma.asūm  nazzāra
hameñ  ai  dil  vo  afsāne  abhī  tak  yaad  aate  haiñ