tamkīñ  hai  aur  husn-e-garebāñ  hai  aur  ham
ḳhuddāriyoñ  kā  ḳhvāb-e-pareshāñ  hai  aur  ham
sāhil  se  duur  ġharq  huī  kashtī-e-ummīd
maujoñ  ko  chheḌtā  huā  tūfāñ  hai  aur  ham
kis  ne  harīm-e-nāz  kā  parda  ulaT  diyā
nazroñ  meñ  ek  sho.ala-e-larzāñ  hai  aur  ham
terī  tajalliyāñ  haiñ  jahāñ  tak  nazar  ga.ī
asrār-e-kā.enāt  kā  irfāñ  hai  aur  ham
bālīñ  se  kaun  mahv-e-tabassum  guzar  gayā
ab  har  nazar  bahār-e-bad-amāñ  hai  aur  ham
vāraftagī-e-ishq  ne  pahuñchā  diyā  kahāñ
ḳhāmosh  ik  fazā-e-bayābāñ  hai  aur  ham
ai  'dil'  ye  sun  rahe  haiñ  ki  duniyā  badal  ga.ī
ab  tak  unhīñ  hadoñ  meñ  bayābāñ  hai  aur  ham