mai-e-kausar  kā  asar  chashm-e-siyah-fām  meñ  hai
sāqī-e-mast  ajab  kaif  tire  jaam  meñ  hai
dekhiye  faisla-e-yās-o-tamannā  kyā  ho
sub.h-e-mahshar  kī  jhalak  tīrgi-e-shām  meñ  hai
nigah-e-mast  kā  phir  zohd-shikan  duur  chale
phir  Dhale  bāda-e-sarjosh  jo  is  jaam  meñ  hai
chhā  ga.e  sheva-e-bedād  pe  dilkash  naġhme
maiñ  qafas  meñ  huuñ  ki  sayyād  mire  daam  meñ  hai
mutma.in  ḳhud  hī  nahīñ  phir  asar-andāz  ho  kyā
pand-e-vā.iz  abhī  andesha-e-anjām  meñ  hai
aarzū  lutf  talab  ishq  sarāsar  nākām
mubtalā  zindagi-e-dil  inhīñ  auhām  meñ  hai