ab  koī  ġham-gusār  hamārā  nahīñ  rahā
duniyā  ko  e'tibār  hamārā  nahīñ  rahā
is  fart-e-ġham  meñ  ḳhuun  ke  aañsū  Tapak  paḌe
ab  dil  bhī  rāzdār  hamārā  nahīñ  rahā
us  kī  huzūr  pīr-e-muġhāñ  meñ  hai  manzilat
jo  ahd-e-pā.edār  hamārā  nahīñ  rahā
har  daaġh  ubhar  ke  zaḳhm  banā  zaḳhm  rashk-e-gul
dil  mā.il-e-bahār  hamārā  nahīñ  rahā
ye  hai  ma.āl-e-sohbat-e-zāhid  janāb-e-dil
rindoñ  meñ  ab  shumār  hamārā  nahīñ  rahā