husn  ne  maan  liyā  qābil-e-tāzīr  mujhe
nazar  aa.ī  hai  mohabbat  kī  ye  taqsīr  mujhe
kyuuñ  na  ho  bāda-e-sar-josh  kī  tauqīr  mujhe
mil  ga.ī  pīr-e-ḳharābāt  se  tahrīr  mujhe
jalva-e-husn  ke  mafhūm  pe  jab  ġhaur  kiyā
ek  dhundlī  sī  nazar  aa.ī  hai  tasvīr  mujhe
ab  mirī  vahshat-e-rusvā  kā  ajab  aalam  hai
kar  diyā  aap  ne  vābasta-e-zanjīr  mujhe
be-takalluf  ruḳh-e-zebā  se  uThā.e  vo  naqāb
husn  ḳhud  pā.egā  ek  paikar-e-tasvīr  mujhe
zindagī  ik  na.e  aalam  meñ  nazar  aatī  hai
le  chalī  aaj  kahāñ  gardish-e-taqdīr  mujhe
khich  ga.ī  dil-kashī-e-husn  marī  nazroñ  meñ
jī  bahalne  ko  milī  aap  kī  tasvīr  mujhe
zulf-e-shab-gūñ  ruḳh-e-anvar  kī  satā.ish  ko  sivā
koī  mazmūn  na  milā  qābil-e-tahrīr  mujhe
husn-e-dilkash  ke  talavvun  pe  nazar  jab  pahuñchī
na  rahā  phir  gila-e-gardish-e-taqdīr  mujhe