phir  e'tibār-e-ishq  ke  qābil  nahīñ  rahā
jo  dil  tirī  nazar  se  girā  dil  nahīñ  rahā
nashtar  chubho.e  ab  na  pashemānī-e-nigāh
mujh  ko  to  shikva-e-ḳhalish-e-dil  nahīñ  rahā
maujeñ  ubhār  kar  mujhe  jis  samt  le  chaleñ
hadd-e-nigāh  tak  kahīñ  sāhil  nahīñ  rahā
kyā  kahiye  ab  ma.āl-e-mohabbat  kī  sarguzisht
yaad  us  kī  rah  ga.ī  hai  magar  'dil'  nahīñ  rahā