Dil Shahjahanpuri

har sans hai sharh-e-nakaami phir ishq ko ruswa kaun kare

Dil Shahjahanpuri

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1875-1959
har saañs hai sharh-e-nākāmī phir ishq ko rusvā kaun kare
takmīl-e-vafā hai miT jaanā jiine kī tamannā kaun kare
jo ġhāfil the hushiyār hue jo sote the bedār hue
jis qaum kī fitrat murda ho us qaum ko zinda kaun kare
har sub.h kaTī har shaam kaTī bedād sahī uftād sahī
anjām-e-mohabbat jab ye hai is jins kā saudā kaun kare
hairāñ haiñ nigāheñ dil be-ḳhud mahjūb hai husn-e-be-parvā
ab arz-e-tamannā kis se ho ab arz-e-tamannā kaun kare
fitrat hai azal se pābandī kuchh qadr nahīñ āzādī kī
nazroñ meñ haiñ dilkash zanjīreñ ruḳh jānib-e-sahrā kaun kare
Top Urdushayar.com