har  saañs  hai  sharh-e-nākāmī  phir  ishq  ko  rusvā  kaun  kare
takmīl-e-vafā  hai  miT  jaanā  jiine  kī  tamannā  kaun  kare
jo  ġhāfil  the  hushiyār  hue  jo  sote  the  bedār  hue
jis  qaum  kī  fitrat  murda  ho  us  qaum  ko  zinda  kaun  kare
har  sub.h  kaTī  har  shaam  kaTī  bedād  sahī  uftād  sahī
anjām-e-mohabbat  jab  ye  hai  is  jins  kā  saudā  kaun  kare
hairāñ  haiñ  nigāheñ  dil  be-ḳhud  mahjūb  hai  husn-e-be-parvā
ab  arz-e-tamannā  kis  se  ho  ab  arz-e-tamannā  kaun  kare
fitrat  hai  azal  se  pābandī  kuchh  qadr  nahīñ  āzādī  kī
nazroñ  meñ  haiñ  dilkash  zanjīreñ  ruḳh  jānib-e-sahrā  kaun  kare