kyā  kahiye  dāstān-e-tamannā  badal  ga.ī
un  kī  badalte  hī  duniyā  badal  ga.ī
ye  daur-e-inqilāb  hai  ḳhud-noshiyoñ  kā  daur
har  mai-kade  meñ  gardish-e-mīnā  badal  ga.ī
har  phuul  har  kalī  pe  barastā  hai  ab  lahū
rañgīnī-e-bahār-e-chaman  kyā  badal  ga.ī
nikhrī  huī  bahār  meñ  chhāle  haiñ  ḳhūñ-chakāñ
apne  qadam  se  qismat-e-sahrā  badal  ga.ī
paiham  Tapak  paḌe  jo  ba-hasrat  huzūr-e-dost
in  āñsuoñ  se  sharah-e-tamannā  badal  ga.ī
āzādī-e-junūñ  kā  yahī  kyā  ma.aal  thā
zindāñ  se  dil-farebī-e-sahrā  badal  ga.ī
vo  ḳhvāb-e-zindagī  thā  jo  ham  dekhte  rahe
ai  'dil'  khulī  jab  aañkh  to  duniyā  badal  ga.ī