likhā  hai  mujh  ko  bhī  likhnā  paḌā  hai
jahāñ  se  hāshiya  chhoḌā  gayā  hai
agar  mānūs  hai  tum  se  parinda
to  phir  uḌne  ko  par  kyuuñ  toltā  hai
kahīñ  kuchh  hai  kahīñ  kuchh  hai  kahīñ  kuchh
mirā  sāmān  sab  bikhrā  huā  hai
maiñ  jā  baiThūñ  kisī  bargad  ke  nīche
sukūñ  kā  bas  yahī  ek  rāsta  hai
qayāmat  dekhiye  merī  nazar  se
savā  neze  pe  sūraj  aa  gayā  hai
shajar  jaane  kahāñ  jā  kar  lagegā
jise  dariyā  bahā  kar  le  gayā  hai
abhī  to  ghar  nahīñ  chhoḌā  hai  maiñ  ne
ye  kis  kā  naam  taḳhtī  par  likhā  hai
bahut  rokā  hai  is  ko  pattharoñ  ne
magar  paanī  ko  rāsta  mil  gayā  hai