ye  aane  vaalā  zamāna  hameñ  batā.egā
vo  ghar  bānegā  apnā  ki  ghar  basā.egā
maiñ  saare  shahr  meñ  badnām  huuñ  ḳhabar  hai  mujhe
vo  mere  naam  se  kyā  fā.eda  uThā.egā
phir  us  ke  ba.ad  ujāle  ḳharīdne  hoñge
zarā  sī  der  meñ  sūraj  to  Duub  jā.egā
hai  sair-gāh  ye  kachchī  muñDer  sāñpoñ  kī
yahāñ  se  kaise  koī  rāsta  bānegā
sunā.ī  detī  nahīñ  ghar  ke  shor  meñ  dastak
maiñ  jāntā  huuñ  jo  aa.egā  lauT  jā.egā
maiñ  soch  bhī  nahīñ  saktā  thā  un  uḌānoñ  meñ
vo  apne  gaañv  kī  miTTī  ko  bhuul  jā.egā
hazāroñ  rog  to  paale  hue  ho  tum  'nazmī'
bachāne  vaalā  kahāñ  tak  tumheñ  bachā.egā