ḳhayāl  usī  kī  taraf  baar  baar  jaatā  hai
mire  safar  kī  thakan  kaun  utaar  jaatā  hai
ye  us  kā  apnā  tarīqa  hai  daan  karne  kā
vo  jis  se  shart  lagātā  hai  haar  jaatā  hai
ye  khel  merī  samajh  meñ  kabhī  nahīñ  aayā
maiñ  jiit  jaatā  huuñ  baazī  vo  maar  jaatā  hai
maiñ  apnī  niiñd  davāoñ  se  qarz  letā  huuñ
ye  qarz  ḳhvāb  meñ  koī  utaar  jaatā  hai
nasha  bhī  hotā  hai  halkā  sā  zahar  meñ  shāmil
vo  jab  bhī  miltā  hai  ik  Dañk  maar  jaatā  hai
maiñ  sab  ke  vāste  kartā  huuñ  kuchh  na  kuchh  'nazmī'
jahāñ  jahāñ  bhī  mirā  iḳhtiyār  jaatā  hai