ab  nahīñ  lauT  ke  aane  vaalā
ghar  khulā  chhoḌ  ke  jaane  vaalā
ho  ga.iiñ  kuchh  idhar  aisī  bāteñ
ruk  gayā  roz  kā  aane  vaalā
aks  ā.ankhoñ  se  churā  letā  hai
ek  tasvīr  banāne  vaalā
laakh  hoñToñ  pe  hañsī  ho  lekin
ḳhush  nahīñ  ḳhush  nazar  aane  vaalā
zad  meñ  tūfān  kī  aayā  kaise
pyaas  sāhil  pe  bujhāne  vaalā
rah  gayā  hai  mirā  saaya  ban  kar
mujh  ko  ḳhātir  meñ  na  laane  vaalā
ban  gayā  ham-safar  āḳhir  'nazmī'
rāsta  kaaT  ke  jaane  vaalā