kab  logoñ  ne  alfāz  ke  patthar  nahīñ  pheñke
vo  ḳhat  bhī  magar  maiñ  ne  jalā  kar  nahīñ  pheñke
Thahre  hue  paanī  ne  ishāra  to  kiyā  thā
kuchh  soch  ke  ḳhud  maiñ  ne  hī  patthar  nahīñ  pheñke
ik  tanz  hai  kaliyoñ  kā  tabassum  bhī  magar  kyuuñ
maiñ  ne  to  kabhī  phuul  masal  kar  nahīñ  pheñke
vaise  to  irāda  nahīñ  tauba-shikanī  kā
lekin  abhī  TuuTe  hue  sāġhar  nahīñ  pheñke
kyā  baat  hai  us  ne  mirī  tasvīr  ke  TukḌe
ghar  meñ  hī  chhupā  rakkhe  haiñ  bāhar  nahīñ  pheñke
darvāzoñ  ke  shīshe  na  badalvā.iye  'nazmī'
logoñ  ne  abhī  haath  se  patthar  nahīñ  pheñke