silsila  zaḳhm  zaḳhm  jaarī  hai
ye  zamīñ  duur  tak  hamārī  hai
is  zamīñ  se  ajab  ta.alluq  hai
zarre  zarre  se  rishtedārī  hai
maiñ  bahut  kam  kisī  se  miltā  huuñ
jis  se  yaarī  hai  us  se  yaarī  hai
naav  kāġhaz  kī  chhoḌ  dī  maiñ  ne
ab  samundar  kī  zimmedārī  hai
bech  Daalā  hai  din  kā  har  lamha
raat  thoḌī  bahut  hamārī  hai
ret  ke  ghar  to  bah  ga.e  lekin
bārishoñ  kā  ḳhulūs  jaarī  hai
koī  'nazmī'  guzār  kar  dekhe
maiñ  ne  jo  zindagī  guzārī  hai