Moni Gopal Tapish

man ke aangan mein KHayalon ka guzar kaisa hai

Moni Gopal Tapish

man ke āñgan meñ ḳhayāloñ kā guzar kaisā hai
ye chahaktā huā vīrān sā ghar kaisā hai
merā maazī jahāñ bikhrā sā paḌā hai har sū
ab vo pīpal ke tale ujḌā khañDar kaisā hai
saḳht pathrāv thā kal raat tirī bastī meñ
din nikalne pe ye dekheñge ki sar kaisā hai
jaan denā hai hameñ ek shivāle ke qarīb
aap batlā.eñ zarā aap kā dar kaisā hai
dil ke madfan meñ 'tapish' dafn hai ehsās kā jism
tum ne chhoḌā jise dekho vo nagar kaisā hai
Top Urdushayar.com