sabhī  añdhere  sameTe  hue  paḌe  rahnā
charāġh-e-rāh-guzar  is  tarah  bane  rahnā
ye  ḳhvāhishoñ  kā  samundar  sarāb  jaisā  hai
sabhī  kā  apne  ta.āqub  meñ  bhāgte  rahnā
na.ī  bahār  kī  ḳhushiyāñ  nasīb  hoñ  lekin
nishāniyāñ  ga.e  mausam  kī  bhī  rakhe  rahnā
udaas  chehre  koī  bhī  nahīñ  paḌhā  kartā
numā.ishoñ  kī  tarah  aap  bhī  saje  rahnā
maiñ  itnī  bhiiḌ  meñ  ik  roz  kho  bhī  saktā  huuñ
kasī  jagah  to  mirā  naam  bhī  likhe  rahnā
ai  zindagī  mire  dukh-sukh  kahāñ  ye  chhoḌ  aa.ī
vo  lamha  lamha  bikharnā  vo  rat-jage  rahnā
'ra.īs'  kaun  sā  aaseb  hai  makānoñ  meñ
tamām  shahr  ye  kahtā  hai  jāgte  rahnā