ye  zard  chehra  ye  dard-e-paiham  koī  sunegā  to  kyā  kahegā
zarā  se  dil  meñ  hazār-hā  ġham  koī  sunegā  to  kyā  kahegā
na  qahqahoñ  ke  hī  silsile  haiñ  na  dostoñ  meñ  vo  rat-jage  haiñ
har  ik  se  milnā  kiyā  hai  kam  kam  koī  sunegā  to  kyā  kahegā
bichhaḌne  vāloñ  kā  ġham  na  kiije  ḳhud  apne  uupar  sitam  na  kījiye
udaas  chehra  hai  aañkh  pur-nam  koī  sunegā  to  kyā  kahegā
tū  sirf  apnī  ġharaz  kī  ḳhātir  ye  jalte  dīpak  bujhā  rahā  hai
magar  zarā  ye  to  soch  hamdam  koī  sunegā  to  kyā  kahegā
balā.eñ  kitnī  bhī  aa.eñ  sar  par  'ra.īs'  ġham  kī  na  kiije  shohrat
ye  āh-o-zārī  ye  shor-e-mātam  koī  sunegā  to  kyā  kahegā