duniyā  meñ  jo  samajhte  the  bār-e-girāñ  mujhe
vo  hī  sunā  rahe  haiñ  mirī  dāstāñ  mujhe
muḌ  muḌ  ke  dekhtā  thā  tire  naqsh-e-pā  ko  maiñ
tanhā  samajh  ke  chal  diyā  jab  kārvāñ  mujhe
do  gaam  mere  saath  chale  rāh-e-ishq  meñ
miltā  nahīñ  hai  aisā  koī  rāz-dāñ  mujhe
ḳhāmoshiyoñ  se  rābta  qaa.em  jo  kar  liyā
duniyā  samajh  rahī  hai  abhī  be-zabāñ  mujhe
maiñ  ne  'ra.īs'  ḳhidmat-e-sher-o-suḳhan  jo  kī
is  vāste  aziiz  hai  urdu  zabāñ  mujhe