tire  sulūk  kā  ġham  sub.h-o-shām  kyā  karte
zarā  sī  baat  pe  jiinā  harām  kyā  karte
ki  be-adab  kā  bhalā  ehtirām  kyā  karte
jo  nāstik  thā  use  rām-rām  kyā  karte
vo  koī  'mīr'  hoñ  'ġhālib'  hoñ  yā  'anīs'-o-'dabīr'
suḳhan-varī  se  baḌā  koī  kaam  kyā  karte
na  niiñd  āñkhoñ  meñ  baaqī  na  intizār  rahā
ye  haal  thā  to  koī  nek  kaam  kyā  karte
mizāj  meñ  thā  takabbur  to  harkatoñ  meñ  ġhurūr
phir  aise  shaḳhs  ko  ham  bhī  salām  kyā  karte
'ra.īs'  ḳhū-e-vafā  ne  hameñ  rulāyā  hai
phir  is  chalan  ko  bhalā  ham  bhī  aam  kyā  karte