bas  ik  ḳhatā  kī  musalsal  sazā  abhī  tak  hai
mire  ḳhilāf  mirā  ā.īna  abhī  tak  hai
sabhī  charāġh  añdheroñ  se  mil  ga.e  lekin
harīf-e-mauj-e-havā  ik  diyā  abhī  tak  hai
miTā  sake  na  use  hādsoñ  ke  dariyā  bhī
vo  ek  naam  jo  dil  par  likhā  abhī  tak  hai
girī  hai  merī  jo  dastār  ġham  huā  lekin
ye  shukr  kartā  huuñ  band-e-qabā  abhī  tak  hai
nazar  uThā  ke  kahā  mai-kade  meñ  saaqī  ne
vo  kaun  hai  jo  yahāñ  pārsā  abhī  tak  hai
na  jaane  kaun  se  sadmoñ  kā  shor  thā  is  meñ
guzar  chukā  vo  idhar  se  sadā  abhī  tak  hai