hañsī  hañsī  meñ  har  ik  ġham  chhupāne  aate  haiñ
hasīn  sher  hameñ  bhī  sunāne  aate  haiñ
hamāre  dam  se  hī  ābād  haiñ  galī-kūche
chhatoñ  pe  ham  hī  kabūtar  uḌāne  aate  haiñ
darīcha  khol  diyā  thā  tire  ḳhayāloñ  kā
havā  ke  jhoñke  abhī  tak  suhāne  aate  haiñ
visāl  hijr  vafā  fikr  dard  majbūrī
zarā  sī  umr  meñ  kitne  zamāne  aate  haiñ
hasīn  ḳhvāboñ  se  milne  ko  pahle  sote  the
ki  ab  to  ḳhvāb  bhī  nīndeñ  uḌāne  aate  haiñ
'ra.īs'  khiḌkiyāñ  saarī  na  kholiye  ghar  kī
havā  ke  jhoñke  diye  bhī  bujhāne  aate  haiñ