dil  ke  zaḳhmoñ  ko  harā  karte  haiñ
kyuuñ  tujhe  yaad  kiyā  karte  haiñ
in  añdheroñ  ko  hiqārat  se  na  dekh
ye  charāġhoñ  kā  bhalā  karte  haiñ
saarī  bāteñ  nahīñ  maanī  jātīñ
bachche  to  zid  hī  kiyā  karte  haiñ
itnā  sochā  hai  tire  baare  meñ
ab  tire  haq  meñ  duā  karte  haiñ
pārsā  duniyā  meñ  koī  bhī  nahīñ
aadmī  saare  ḳhatā  karte  haiñ
ab  to  ġhazloñ  ke  havāle  se  tirā
zikr  duniyā  se  kiyā  karte  haiñ