kisī kā jism huā jān-o-dil kisī ke hue
hazār TukḌe mirī ek zindagī ke hue
badal sakā na koī apnī qismatoñ kā nizām
jo tū ne chāhā vahī haal zindagī ke hue
jo saare shahr ke patthar liye thā dāman meñ
tamām shīshe taraf-dār bas usī ke hue
badalte vaqt ne taqsīm kar diyā mujh ko
the mere ḳhvāb jo tere vahī kisī ke hue
tamām umr rahī hai muḳhālifat jis se
'ra.īs' ham bhī taraf-dār phir usī ke hue