kisī  kā  jism  huā  jān-o-dil  kisī  ke  hue
hazār  TukḌe  mirī  ek  zindagī  ke  hue
badal  sakā  na  koī  apnī  qismatoñ  kā  nizām
jo  tū  ne  chāhā  vahī  haal  zindagī  ke  hue
jo  saare  shahr  ke  patthar  liye  thā  dāman  meñ
tamām  shīshe  taraf-dār  bas  usī  ke  hue
badalte  vaqt  ne  taqsīm  kar  diyā  mujh  ko
the  mere  ḳhvāb  jo  tere  vahī  kisī  ke  hue
tamām  umr  rahī  hai  muḳhālifat  jis  se
'ra.īs'  ham  bhī  taraf-dār  phir  usī  ke  hue